mujhko barah-e-rast koi tajraba nahin
mujh ko barāh-e-rāst koī tajraba nahīñ
in gul-ruḳhoñ meñ kahte haiñ bū-e-vafā nahīñ
kuchh bevafā.iyāñ bhī zarūrī haiñ 'ishq meñ
varna ḳhudā gavāh hai maiñ bevafā nahīñ
shauq-e-gunāh-o-‘azm-e-baġhāvat nahīñ rahā
ye kam sazā nahīñ hai ki koī bhī sazā nahīñ
is dasht-e-ġham meñ ġham ke sivā kaun aa.egā
chup-chāp so raho ye kisī kī sadā nahīñ
kyā kyā huā bayāñ ke liye 'umr chāhiye
yuuñ pūchh lījiye ki abhī kyā huā nahīñ
ham sirf shab ko ro liye bas aur kyā kiyā
kis muñh se phir kaheñ koī apnā huā nahīñ
ye aag bujh rahī hai ise ab havā na do
tum se to koī raaz hamārā chhupā nahīñ
ḳhvāboñ ke qāfile kahīñ zulfoñ meñ kho ga.e
āñkhoñ meñ aaj niiñd kā kosoñ patā nahīñ
ā.īna mujh ko jāniye hairat na kījiye
ḳhud aap sāmne haiñ koī dūsrā nahīñ
shukr-e-ḳhudā nazar kabhī nīchī nahīñ huī
ye sar bhī aaj tak kabhī bejā jhukā nahīñ
aise ta'alluqāt ko jo chāho naam do
itnā qarīb koī tumhāre sivā nahīñ
husn-e-vafā-navāz tirā shukriya magar
itnā udaas dil kabhī pahle huā nahīñ
ranj us ne kuchh sivā diye ye haq usī kā thā
itnā qarīb dūsrā koī rahā nahīñ
ab dekhnā hai kaun sī ho jiddat-e-karam
apne hisāb se to koī ġham bachā nahīñ
mahbūba-e-firāq hai ai 'badr' duḳht-e-raz
lāzim thā ehtirām udhar ruḳh kiyā nahīñ
mujh ko barah-e-rast koi tajraba nahin
in gul-ruKHon mein kahte hain bu-e-wafa nahin
kuchh bewafaiyan bhi zaruri hain 'ishq mein
warna KHuda gawah hai main bewafa nahin
shauq-e-gunah-o-‘azm-e-baghawat nahin raha
ye kam saza nahin hai ki koi bhi saza nahin
is dasht-e-gham mein gham ke siwa kaun aaega
chup-chap so raho ye kisi ki sada nahin
kya kya hua bayan ke liye 'umr chahiye
yun puchh lijiye ki abhi kya hua nahin
hum sirf shab ko ro liye bas aur kya kiya
kis munh se phir kahen koi apna hua nahin
ye aag bujh rahi hai ise ab hawa na do
tum se to koi raaz hamara chhupa nahin
KHwabon ke qafile kahin zulfon mein kho gae
aankhon mein aaj nind ka koson pata nahin
aaina mujh ko jaaniye hairat na kijiye
KHud aap samne hain koi dusra nahin
shukr-e-KHuda nazar kabhi nichi nahin hui
ye sar bhi aaj tak kabhi beja jhuka nahin
aise ta'alluqat ko jo chaho nam do
itna qarib koi tumhaare siwa nahin
husn-e-wafa-nawaz tera shukriya magar
itna udas dil kabhi pahle hua nahin
ranj us ne kuchh siwa diye ye haq usi ka tha
itna qarib dusra koi raha nahin
ab dekhna hai kaun si ho jiddat-e-karam
apne hisab se to koi gham bacha nahin
mahbuba-e-firaq hai ai 'badr' duKHt-e-raz
lazim tha ehtiram udhar ruKH kiya nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.