mujhko bhi barq-e-husn kisi din dikha ke dekh
mujh ko bhī barq-e-husn kisī din dikhā ke dekh
merā bhī zarf-e-ishq zarā aazmā ke dekh
har manzil-e-alam meñ yuuñ hī muskurā ke dekh
har mushkil-e-hayāt ko āsāñ banā ke dekh
dīvāngī-e-zauq-e-talab ko baḌhā ke dekh
hadd-e-ta.a.yyunāt se dāman bachā ke dekh
dekh un ko aur apnī nazar se bachā ke dekh
dīvāngī ke hosh pe parde girā ke dekh
sāhil kī rāhateñ to tujhe raas aa chukīñ
tūfāñ kī samt apnā safīna baḌhā ke dekh
tujh ko agar sukūñ kī tamanna hai ziist meñ
har ek ġham ko siine se apne lagā ke dekh
manzil pukārtī hai tajassus kī raah meñ
do ik qadam tū aur bhī aage baḌhā ke dekh
tanqīd-e-mai-kashī kā agar shauq hai to phir
vaa.iz kabhī 'vakīl' kī mahfil meñ aa ke dekh
mujh ko bhi barq-e-husn kisi din dikha ke dekh
mera bhi zarf-e-ishq zara aazma ke dekh
har manzil-e-alam mein yun hi muskura ke dekh
har mushkil-e-hayat ko aasan bana ke dekh
diwangi-e-zauq-e-talab ko baDha ke dekh
hadd-e-tayyunat se daman bacha ke dekh
dekh un ko aur apni nazar se bacha ke dekh
diwangi ke hosh pe parde gira ke dekh
sahil ki rahaten to tujhe ras aa chukin
tufan ki samt apna safina baDha ke dekh
tujh ko agar sukun ki tamanna hai zist mein
har ek gham ko sine se apne laga ke dekh
manzil pukarti hai tajassus ki rah mein
do ek qadam tu aur bhi aage baDha ke dekh
tanqid-e-mai-kashi ka agar shauq hai to phir
waiz kabhi 'wakil' ki mahfil mein aa ke dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.