mujhko darkar nahin aaj ya kal ki lazzat
mujh ko darkār nahīñ aaj yā kal kī lazzat
aisā phal chāhiye ho jis meñ azal kī lazzat
narm hāthoñ se mujhe chhū ke guzartī huī vo
haa.e hotī huī mahsūs ye halkī lazzat
haath aa.ī hai ka.ī baar tirī shāḳh-e-badan
maiñ ka.ī baar chakhā huuñ tire phal kī lazzat
ho ga.ī ḳhatm magar daad na denā chhoḌo
abhī mahsūs kiye jaao ġhazal kī lazzat
sab nahīñ kahte haiñ is bahr meñ ġhazleñ sāhib
sab nahīñ jānte haiñ bahr-e-ramal kī lazzat
kyā zarūrat hai vo tā-'umr mayassar ho 'doraib'
bhuul pā.ūñgā nahīñ ek hī pal kī lazzat
mujh ko darkar nahin aaj ya kal ki lazzat
aisa phal chahiye ho jis mein azal ki lazzat
narm hathon se mujhe chhu ke guzarti hui wo
hae hoti hui mahsus ye halki lazzat
hath aai hai kai bar teri shaKH-e-badan
main kai bar chakha hun tere phal ki lazzat
ho gai KHatm magar dad na dena chhoDo
abhi mahsus kiye jao ghazal ki lazzat
sab nahin kahte hain is bahr mein ghazlen sahib
sab nahin jaante hain bahr-e-ramal ki lazzat
kya zarurat hai wo ta-'umr mayassar ho 'doraib'
bhul paunga nahin ek hi pal ki lazzat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.