mujhko darun-e-zat ka naqsha dikhai de
mujh ko darūn-e-zāt kā naqsha dikhā.ī de
ā.īna vo dikhāo ki chehra dikhā.ī de
ādāb-e-tishnagī ne sikhā.e haiñ vo hunar
pyāse ko musht-e-ḳhāk meñ kuuza dikhā.ī de
aisī rahī haiñ nisbateñ dīvār-e-yār se
kū-e-sitam kī dhuup bhī saayā dikhā.ī de
har lab pe harf-e-vā’z-o-nasīhat hai shahr meñ
har shaḳhs āsmān se utrā dikhā.ī de
afshāñ kisī kisī meñ hī anvār-e-faiz hai
vaise to har charāġh hī jaltā dikhā.ī de
un ke varaq varaq pe hai nām-e-ḳhudā raqam
jin kī kitāb-e-zindagī saada dikhā.ī de
tamsīl-gāh-e-vaqt meñ baiThe haiñ muntazir
parda uThe to koī tamāshā dikhā.ī de
duniyā fareb-zār-e-nazar hai 'ajab 'zahīr'
āñkheñ na hoñ to ḳhaak bhī sonā dikhā.ī de
mujh ko darun-e-zat ka naqsha dikhai de
aaina wo dikhao ki chehra dikhai de
aadab-e-tishnagi ne sikhae hain wo hunar
pyase ko musht-e-KHak mein kuza dikhai de
aisi rahi hain nisbaten diwar-e-yar se
ku-e-sitam ki dhup bhi saya dikhai de
har lab pe harf-e-wa’z-o-nasihat hai shahr mein
har shaKHs aasman se utra dikhai de
afshan kisi kisi mein hi anwar-e-faiz hai
waise to har charagh hi jalta dikhai de
un ke waraq waraq pe hai nam-e-KHuda raqam
jin ki kitab-e-zindagi sada dikhai de
tamsil-gah-e-waqt mein baiThe hain muntazir
parda uThe to koi tamasha dikhai de
duniya fareb-zar-e-nazar hai 'ajab 'zahir'
aankhen na hon to KHak bhi sona dikhai de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.