mujhko DhunDo ki kho gaya hun main
mujh ko DhūñDo ki kho gayā huuñ maiñ
jab se maqbūl ho gayā huuñ maiñ
jal gayā ghar fasād meñ merā
aur bārūd ho gayā huuñ maiñ
mahv-e-hamd-o-sanā parinde haiñ
aur azaañ sun ke so gayā huuñ maiñ
ghaat se dushmanoñ kī bach aaya
qatl apnoñ meñ ho gayā huuñ maiñ
bhā.iyoñ par bhī e'timād nahīñ
itnā mohtāt ho gayā huuñ maiñ
mujh ko DhunDo ki kho gaya hun main
jab se maqbul ho gaya hun main
jal gaya ghar fasad mein mera
aur barud ho gaya hun main
mahw-e-hamd-o-sana parinde hain
aur azan sun ke so gaya hun main
ghat se dushmanon ki bach aaya
qatl apnon mein ho gaya hun main
bhaiyon par bhi e'timad nahin
itna mohtat ho gaya hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.