mujhko dushwar tha bijnor se dilli ka safar
mujhko dushwar tha bijnor se dilli ka safar
Tahir Saood Kiratpuri
MORE BYTahir Saood Kiratpuri
mujh ko dushvār thā bijnor se dillī kā safar
soch phir kaise kiyā maiñ ne sa’ūdī kā safar
mil gayā hai mire ḳhvāboñ ko haqīqat kā charāġh
ye alag baat kiyā der se jaldī kā safar
ḳhushk āñkhoñ kā safar saḳht paḌā hai jitnā
utnā dushvār nahīñ thā mujhe paanī kā safar
bāñdh detā hai koī par mire lā kar har roz
roz kartā huuñ maiñ ḳhvāboñ meñ bulandī kā safar
us ke siine se lagā maiñ to khulī qabr meñ aañkh
ḳhatm hī ho gayā botal pe sharābī kā safar
barsar-e-jang ġhulāmoñ pe bharosa kar ke
ḳhud hī āsān kiyā ham ne tabāhī kā safar
us ke rauze ke qarīñ mil ga.ī thoḌī sī jagah
yuuñ mukammal huā ik aag ke raahī kā safar
mujh ko dushwar tha bijnor se dilli ka safar
soch phir kaise kiya main ne sa’udi ka safar
mil gaya hai mere KHwabon ko haqiqat ka charagh
ye alag baat kiya der se jaldi ka safar
KHushk aankhon ka safar saKHt paDa hai jitna
utna dushwar nahin tha mujhe pani ka safar
bandh deta hai koi par mere la kar har roz
roz karta hun main KHwabon mein bulandi ka safar
us ke sine se laga main to khuli qabr mein aankh
KHatm hi ho gaya botal pe sharabi ka safar
barsar-e-jang ghulamon pe bharosa kar ke
KHud hi aasan kiya hum ne tabahi ka safar
us ke rauze ke qarin mil gai thoDi si jagah
yun mukammal hua ek aag ke rahi ka safar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.