mujhko fareb dene ki koshish bahut hui
mujh ko fareb dene kī koshish bahut huī
phīke tabassumoñ kī numā.ish bahut huī
paanī bhī itnā barsā ke tūfān aa ga.e
is saal pattharoñ kī bhī bārish bahut huī
ham se tamām saal kī tafsīl pūchhiye
hamdardiyoñ ke naam pe sāzish bahut huī
jitne ghane daraḳht the jaḌ se ukhaḌ ga.e
kal raat āñdhiy.oñ kī navāzish bahut huī
naqqād bhī ta’alluq-e-ḳhātir meñ bah ga.e
tanqīd kam huī hai satā.ish bahut huī
pechīda mas.aloñ ne sañbhalne nahīñ diyā
jiine kī tarah jiine kī ḳhvāhish bahut huī
bīnā.ī hairatoñ se na bāhar nikal sakī
parde ke pīchhe sāyoñ meñ jumbish bahut huī
mujh ko fareb dene ki koshish bahut hui
phike tabassumon ki numaish bahut hui
pani bhi itna barsa ke tufan aa gae
is sal pattharon ki bhi barish bahut hui
hum se tamam sal ki tafsil puchhiye
hamdardiyon ke nam pe sazish bahut hui
jitne ghane daraKHt the jaD se ukhaD gae
kal raat aandhiyon ki nawazish bahut hui
naqqad bhi ta’alluq-e-KHatir mein bah gae
tanqid kam hui hai sataish bahut hui
pechida masalon ne sanbhalne nahin diya
jine ki tarah jine ki KHwahish bahut hui
binai hairaton se na bahar nikal saki
parde ke pichhe sayon mein jumbish bahut hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.