mujhko hasil jo wasf-e-dua ho gaya
mujh ko hāsil jo vasf-e-duā ho gayā
maiñ jidhar chal paḌā rāsta ho gayā
niil meñ jab vo utre to kyā ho gayā
zo.am-e-fir.aun TuuTā fanā ho gayā
maut kis kī hai kab rizq hai kis qadar
roz-e-avval hī ye faisla ho gayā
thaam lūñgā maiñ us din inān-e-jahāñ
mehrbāñ mujh pe jis din ḳhudā ho gayā
ek ik karke mohre sabhī paT ga.e
un kī baazī kā yuuñ ḳhātma ho gayā
yād-e-rab aur zikr-e-habīb-e-ḳhudā
roz-o-shab ye mirā mashġhala ho gayā
maiñ jo pahuñchā 'habīb' apne aaqā ke dar
mujh pe lutf-e-shah-e-do-sarā ho gayā
mujh ko hasil jo wasf-e-dua ho gaya
main jidhar chal paDa rasta ho gaya
nil mein jab wo utre to kya ho gaya
zoam-e-firaun TuTa fana ho gaya
maut kis ki hai kab rizq hai kis qadar
roz-e-awwal hi ye faisla ho gaya
tham lunga main us din inan-e-jahan
mehrban mujh pe jis din KHuda ho gaya
ek ek karke mohre sabhi paT gae
un ki bazi ka yun KHatma ho gaya
yaad-e-rab aur zikr-e-habib-e-KHuda
roz-o-shab ye mera mashghala ho gaya
main jo pahuncha 'habib' apne aaqa ke dar
mujh pe lutf-e-shah-e-do-sara ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.