mujhko hai aangan mein mere kahkashan ki justuju
mujh ko hai āñgan meñ mere kahkashāñ kī justujū
har qadam par hai mujhe ik gulsitāñ kī justujū
dil ko ehsān-e-rafū manzūr ho mumkin nahīñ
ishtiyāq-e-dard ko hai rāzdāñ kī justujū
ḳhuun kā jo ḳhuuñ huā us kī tasallī ke liye
rāt-din rahtī hai chashm-e-ḳhūñ-fishāñ kī justujū
vaqt ke naqsh-e-qadam ne sab ko gumrāh kar diyā
rahnumā.ī ko ho sang-e-āstāñ kī justujū
din guzar jaate haiñ ashkoñ kī bahāroñ meñ magar
zaḳhm-ḳhurda shauq hai rang-e-ḳhizāñ kī justujū
ḳhaak hai āġhāz merī aur yahī pahchān hai
ab nahīñ anjām ko nām-o-nishāñ kī justujū
dil ko bhī aañch aa ga.ī hai jal gayā hai jab jahāñ
aise aalam meñ bhī hai ik mehrbāñ kī justujū
lamha-e-imkāñ kaheñ yā naz' kī sā'at kaheñ
jis nafas ko hai hayāt-e-jāvidāñ kī justujū
hai 'shafaq' merā taḳhallus yaad rakhiyegā huzūr
hogī yādoñ ko bhī sham.a-e-zau-fishāñ kī justujū
mujh ko hai aangan mein mere kahkashan ki justuju
har qadam par hai mujhe ek gulsitan ki justuju
dil ko ehsan-e-rafu manzur ho mumkin nahin
ishtiyaq-e-dard ko hai raazdan ki justuju
KHun ka jo KHun hua us ki tasalli ke liye
raat-din rahti hai chashm-e-KHun-fishan ki justuju
waqt ke naqsh-e-qadam ne sab ko gumrah kar diya
rahnumai ko ho sang-e-astan ki justuju
din guzar jate hain ashkon ki bahaaron mein magar
zaKHm-KHurda shauq hai rang-e-KHizan ki justuju
KHak hai aaghaz meri aur yahi pahchan hai
ab nahin anjam ko nam-o-nishan ki justuju
dil ko bhi aanch aa gai hai jal gaya hai jab jahan
aise aalam mein bhi hai ek mehrban ki justuju
lamha-e-imkan kahen ya naz' ki sa'at kahen
jis nafas ko hai hayat-e-jawidan ki justuju
hai 'shafaq' mera taKHallus yaad rakhiyega huzur
hogi yaadon ko bhi shama-e-zau-fishan ki justuju
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.