mujhko har raat hi ta-der rulata hua shaKHs
mujh ko har raat hī tā-der rulātā huā shaḳhs
chhoḌ ke bhī nahīñ jaatā hai ye jaatā huā shaḳhs
ek muddat se sar-e-dasht yahī dekhtā huuñ
rone lag jaatā hai yak-dam se ye gaatā huā shaḳhs
lā-shu'ūrī meñ bhī hañste nahīñ dekhā gayā hai
qahqahoñ vaalā ye kirdār nibhātā huā shaḳhs
dekh is kaase meñ bhūle se na sikke rakhnā
vaqt kā shaah thā ye ḳhaak uḌātā huā shaḳhs
āstīñ apnī chaḌhā.e to munavvar ho fazā
roz turbat pe charāġhoñ ko jalātā huā shaḳhs
mujh ko har raat hi ta-der rulata hua shaKHs
chhoD ke bhi nahin jata hai ye jata hua shaKHs
ek muddat se sar-e-dasht yahi dekhta hun
rone lag jata hai yak-dam se ye gata hua shaKHs
la-shu'uri mein bhi hanste nahin dekha gaya hai
qahqahon wala ye kirdar nibhata hua shaKHs
dekh is kase mein bhule se na sikke rakhna
waqt ka shah tha ye KHak uData hua shaKHs
aastin apni chaDhae to munawwar ho faza
roz turbat pe charaghon ko jalata hua shaKHs
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.