mujhko is dasht mein phir lauT ke aana nahin hai
mujh ko is dasht meñ phir lauT ke aanā nahīñ hai
dil-e-dīvāna kuchh aisā bhī divānā nahīñ hai
baar baar aatā hai us shaḳhs se milne kā ḳhayāl
kyā karūñ paas mire koī bahāna nahīñ hai
daam sayyād ne har samt bichhā rakkhe haiñ
aur dekho to kahīñ ek bhī daana nahīñ hai
kashtiyāñ ham ne bhī sāhil pe jalā Daalī haiñ
ab kahīñ aur yahāñ se hameñ jaanā nahīñ hai
chāhtā huuñ ki tamannā.eñ hoñ puurī us kī
paas mere to magar koī ḳhazāna nahīñ hai
mujh ko is dasht mein phir lauT ke aana nahin hai
dil-e-diwana kuchh aisa bhi diwana nahin hai
bar bar aata hai us shaKHs se milne ka KHayal
kya karun pas mere koi bahana nahin hai
dam sayyaad ne har samt bichha rakkhe hain
aur dekho to kahin ek bhi dana nahin hai
kashtiyan hum ne bhi sahil pe jala Dali hain
ab kahin aur yahan se hamein jaana nahin hai
chahta hun ki tamannaen hon puri us ki
pas mere to magar koi KHazana nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.