mujhko kabhi zoaf ne biThaya
mujh ko kabhī zo.af ne biThāyā
un ko kabhī naaz ne uThāyā
thī sharm agar yahī hayā ko
jalva tirā kyoñ mujhe dikhāyā
hastī ne mujhe adam meñ jā kar
DhūñDhā to bahut magar na paayā
jo miT gayā tere lab pe us se
e.ajāz-e-masīh ko jalāyā
kasrat meñ bhī thā tirā hī jalva
vahdat ne jab aa.ina dikhāyā
allāh re be-ḳhudī-e-'beḳhud'
vo aa.e pa aap meñ na aaya
mujh ko kabhi zoaf ne biThaya
un ko kabhi naz ne uThaya
thi sharm agar yahi haya ko
jalwa tera kyon mujhe dikhaya
hasti ne mujhe adam mein ja kar
DhunDha to bahut magar na paya
jo miT gaya tere lab pe us se
eajaz-e-masih ko jalaya
kasrat mein bhi tha tera hi jalwa
wahdat ne jab aaina dikhaya
allah re be-KHudi-e-'beKHud'
wo aae pa aap mein na aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.