mujhko kahta hai muskurane ko
mujhko kahta hai muskurane ko
Jagjeewan Lal Asthana sahar
MORE BYJagjeewan Lal Asthana sahar
mujh ko kahtā hai muskurāne ko
jaane kyā ho gayā zamāne ko
mujh ko tūfān kyā Dubo saktā
dil hī chāhā thā Duub jaane ko
apnī hī dāstāñ samajh baiThī
sun ke duniyā mire fasāne ko
bazm meñ terī ham chale aa.e
az-sar-e-nau fareb khāne ko
ham jhukā kar jabīn-e-shauq apnī
ḳhud bulā leñge āstāne ko
ham chhiḌakte rahe lahū apnā
āshiyāñ meñ bahār laane ko
tirī yādoñ ne rah-ravī kī hai
jab bhī chāhā tujhe bhulāne ko
ashk ban kar charāġh aate haiñ
mirī palkoñ pe jagmagāne ko
maiñ sahar ban ke aa gayā huuñ 'sahar'
dahr se tīrgī miTāne ko
mujh ko kahta hai muskurane ko
jaane kya ho gaya zamane ko
mujh ko tufan kya Dubo sakta
dil hi chaha tha Dub jaane ko
apni hi dastan samajh baiThi
sun ke duniya mere fasane ko
bazm mein teri hum chale aae
az-sar-e-nau fareb khane ko
hum jhuka kar jabin-e-shauq apni
KHud bula lenge aastane ko
hum chhiDakte rahe lahu apna
aashiyan mein bahaar lane ko
teri yaadon ne rah-rawi ki hai
jab bhi chaha tujhe bhulane ko
ashk ban kar charagh aate hain
meri palkon pe jagmagane ko
main sahar ban ke aa gaya hun 'sahar'
dahr se tirgi miTane ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.