mujhko KHak-e-dar-e-mai-KHana banaya hota
mujhko KHak-e-dar-e-mai-KHana banaya hota
Chandar Bhan Kaifi Dehelvi
MORE BYChandar Bhan Kaifi Dehelvi
mujh ko ḳhāk-e-dar-e-mai-ḳhāna banāyā hotā
phir usī ḳhaak se paimāna banāyā hotā
jalva-gar husn-e-majāzī meñ haqīqat hotī
ka.aba-e-dil ko sanam-ḳhāna banāyā hotā
na mujhe rañg-e-chaman se koī matlab hotā
sūrat-e-sabza-e-begāna banāyā hotā
āp-bītī jo sunātā huuñ to kah dete haiñ
is se behtar koī afsāna banāyā hotā
mai-kashoñ ke jo muqaddar meñ na the ye daane
naḳhl-e-añgūr ko be-dāna banāyā hotā
umr bhar ḳhāna-e-ḳhummar meñ sar-ḳhush rahte
zindagī kā yahī paimāna banāyā hotā
kufr-o-īmāñ meñ na rahtī ye kashākash 'kaifī'
ka.aba-o-dair ko mai-ḳhāna banāyā hotā
mujh ko KHak-e-dar-e-mai-KHana banaya hota
phir usi KHak se paimana banaya hota
jalwa-gar husn-e-majazi mein haqiqat hoti
kaba-e-dil ko sanam-KHana banaya hota
na mujhe rang-e-chaman se koi matlab hota
surat-e-sabza-e-begana banaya hota
aap-biti jo sunata hun to kah dete hain
is se behtar koi afsana banaya hota
mai-kashon ke jo muqaddar mein na the ye dane
naKHl-e-angur ko be-dana banaya hota
umr bhar KHana-e-KHummar mein sar-KHush rahte
zindagi ka yahi paimana banaya hota
kufr-o-iman mein na rahti ye kashakash 'kaifi'
kaba-o-dair ko mai-KHana banaya hota
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 35)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.