mujhko KHamoshi-e-haalat se Dar lagta hai
mujh ko ḳhāmoshī-e-hālāt se Dar lagtā hai
ye mujhe daur-e-siyāsat kā asar lagtā hai
be-amal maiñ thā magar rab ne mujhe baḳhsh diyā
ye mirī maañ kī duāoñ kā asar lagtā hai
jab se vo duur huā hai mirī in āñkhoñ se
dil mirā dil nahīñ ujḌā sā nagar lagtā hai
jab se dekhā hai tujhe khoyā huā rahtā huuñ
ye tirī shoḳh nigāhoñ kā asar lagtā hai
har taraf dard hai tārīkī udāsī hai bahut
kis qadar saḳht ye sāñsoñ kā safar lagtā hai
''har ghaḌī dard ke paivand lage jaate haiñ''
ye mujhe mere gunāhoñ kā asar lagtā hai
ek naqsh aisā banāyā hai tirī yādoñ ne
zehan se ruuh talak terā hī ghar lagtā hai
mujh ko KHamoshi-e-haalat se Dar lagta hai
ye mujhe daur-e-siyasat ka asar lagta hai
be-amal main tha magar rab ne mujhe baKHsh diya
ye meri man ki duaon ka asar lagta hai
jab se wo dur hua hai meri in aankhon se
dil mera dil nahin ujDa sa nagar lagta hai
jab se dekha hai tujhe khoya hua rahta hun
ye teri shoKH nigahon ka asar lagta hai
har taraf dard hai tariki udasi hai bahut
kis qadar saKHt ye sanson ka safar lagta hai
har ghaDi dard ke paiwand lage jate hain
ye mujhe mere gunahon ka asar lagta hai
ek naqsh aisa banaya hai teri yaadon ne
zehan se ruh talak tera hi ghar lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.