mujhko kisi se koi shikayat nahin rahi
mujh ko kisī se koī shikāyat nahīñ rahī
jab se makān-e-dil meñ vo sūrat nahīñ rahī
kitnā udaas thā vo ye kahte hue mujhe
maiñ ḳhush huuñ ab mujhe tirī 'ādat nahīñ rahī
pal meñ jo rang badle mirā 'ishq vo nahīñ
jānāñ tirī ye baat haqīqat nahīñ rahī
maiñ bhī to ab kisī kī mohabbat nahīñ rahā
vo bhī to ab kisī kī mohabbat nahīñ rahī
māñgā jahāñ se pyaar ke badle meñ pyaar jab
kahne lage ki ab vo rivāyat nahīñ rahī
ye sach hai tū kabhī merā hogā nahīñ magar
ye jhuuT hai ki ab tirī hasrat nahīñ rahī
mujh ko kisi se koi shikayat nahin rahi
jab se makan-e-dil mein wo surat nahin rahi
kitna udas tha wo ye kahte hue mujhe
main KHush hun ab mujhe teri 'adat nahin rahi
pal mein jo rang badle mera 'ishq wo nahin
jaanan teri ye baat haqiqat nahin rahi
main bhi to ab kisi ki mohabbat nahin raha
wo bhi to ab kisi ki mohabbat nahin rahi
manga jahan se pyar ke badle mein pyar jab
kahne lage ki ab wo riwayat nahin rahi
ye sach hai tu kabhi mera hoga nahin magar
ye jhuT hai ki ab teri hasrat nahin rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.