Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhko kya yaad hai kya bhul gaya yaad nahin

Salman Kazmi

mujhko kya yaad hai kya bhul gaya yaad nahin

Salman Kazmi

MORE BYSalman Kazmi

    mujh ko kyā yaad hai kyā bhuul gayā yaad nahīñ

    maiñ maraz bhuul gayā aur davā yaad nahīñ

    'ishq ke tauq-o-salāsil meñ huuñ jakḌā lekin

    maiñ ne kis jurm paa.ī hai sazā yaad nahīñ

    ḳhaar bichhvā.e jin ahbāb ne rāhoñ meñ mirī

    maiñ ne un se bhī kabhī ho daġhā yaad nahīñ

    merī ḳhāmoshī ne mahbūb se hājat māñgī

    maiñ vo saa.il huuñ jise koī sadā yaad nahīñ

    apne mohsin ko bhulāne natīja ye hai

    maiñ vo saa.il huuñ jise koī 'atā yaad nahīñ

    jin ko ḳhud maiñ ne sikhāyā thā vafā matlab

    ab unhīñ logoñ ko tahzīb-e-vafā yaad nahīñ

    shahr-e-haq-soz meñ haq baat kahī thī maiñ ne

    kab huā kaun huā mujh se ḳhafā yaad nahīñ

    marja’-e-'ishq faqat zāt-e-ḳhudā hai 'salmān'

    vādī-e-'ishq meñ kyoñ tum ko ḳhudā yaad nahīñ

    mujh ko kya yaad hai kya bhul gaya yaad nahin

    main maraz bhul gaya aur dawa yaad nahin

    'ishq ke tauq-o-salasil mein hun jakDa lekin

    main ne kis jurm ki pai hai saza yaad nahin

    KHar bichhwae jin ahbab ne rahon mein meri

    main ne un se bhi kabhi ki ho dagha yaad nahin

    meri KHamoshi ne mahbub se hajat mangi

    main wo sail hun jise koi sada yaad nahin

    apne mohsin ko bhulane ka natija ye hai

    main wo sail hun jise koi 'ata yaad nahin

    jin ko KHud main ne sikhaya tha wafa ka matlab

    ab unhin logon ko tahzib-e-wafa yaad nahin

    shahr-e-haq-soz mein haq baat kahi thi main ne

    kab hua kaun hua mujh se KHafa yaad nahin

    marja’-e-'ishq faqat zat-e-KHuda hai 'salman'

    wadi-e-'ishq mein kyon tum ko KHuda yaad nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now