mujhko lagta hai wo wali ki tarah
mujh ko lagtā hai vo valī kī tarah
us kī bāteñ haiñ rahbarī kī tarah
itr meñ Duubī us kī ḳhushbū thī
dil meñ utrā jo chāshnī kī tarah
haath joḌe haiñ kyoñ ḳhudā jaane
hai adā us kī ājizī kī tarah
hai ajab lahja un faqīroñ kā
vo nahīñ lagte aadmī kī tarah
tīrgī meñ bhī vo chamaktā hai
husn us kā hai raushnī kī tarah
us ne begāna jab kahā mujh ko
maiñ chalā aaya ajnabī kī tarah
kyā huā us ko phir ḳhudā jaane
vo mahaktā thā ik kalī kī tarah
ik qalandar ko jāntā huuñ maiñ
hai sulūk us kā sādgī kī tarah
dekhte the vo sab tamāshā mirā
bah rahā thā maiñ jab nadī kī tarah
mujh meñ aisā hai kyā batā 'ahmad'
jo tū paḌhtā hai shā.erī kī tarah
mujh ko lagta hai wo wali ki tarah
us ki baaten hain rahbari ki tarah
itr mein Dubi us ki KHushbu thi
dil mein utra jo chashni ki tarah
hath joDe hain kyon KHuda jaane
hai ada us ki aajizi ki tarah
hai ajab lahja un faqiron ka
wo nahin lagte aadmi ki tarah
tirgi mein bhi wo chamakta hai
husn us ka hai raushni ki tarah
us ne begana jab kaha mujh ko
main chala aaya ajnabi ki tarah
kya hua us ko phir KHuda jaane
wo mahakta tha ek kali ki tarah
ek qalandar ko jaanta hun main
hai suluk us ka sadgi ki tarah
dekhte the wo sab tamasha mera
bah raha tha main jab nadi ki tarah
mujh mein aisa hai kya bata 'ahmad'
jo tu paDhta hai shaeri ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.