mujhko lipTa kar samundar ro paDa
mujh ko lipTā kar samundar ro paḌā
sab ne samjhā aaj patthar ro paḌā
jaise baTvāre se vo bhī ḳhush na thā
phuuT kar merā sahodar ro paḌā
ghar pahuñch kar us ne dī vardī utaar
hañs chukā bāhar to andar ro paḌā
dekhne vāloñ ne pahchānā nahīñ
sūñgh kar mujh ko mirā ghar ro paḌā
maiñ use rotā samajh kar khil uThā
vo mujhe hañstā samajh kar ro paḌā
Dūbne vaale ne jaane kyā kahā
ret par baiThā shanāvar ro paḌā
mujh ko lipTa kar samundar ro paDa
sab ne samjha aaj patthar ro paDa
jaise baTware se wo bhi KHush na tha
phuT kar mera sahodar ro paDa
ghar pahunch kar us ne di wardi utar
hans chuka bahar to andar ro paDa
dekhne walon ne pahchana nahin
sungh kar mujh ko mera ghar ro paDa
main use rota samajh kar khil uTha
wo mujhe hansta samajh kar ro paDa
Dubne wale ne jaane kya kaha
ret par baiTha shanawar ro paDa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.