Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhko malum hai bargah-e-suKHan mein baDa kaun hai

Iqtidar Javed

mujhko malum hai bargah-e-suKHan mein baDa kaun hai

Iqtidar Javed

MORE BYIqtidar Javed

    mujh ko mā'lūm hai bārgāh-e-suḳhan meñ baḌā kaun hai

    kis ko nīche girā kar kuchal kar usī par khaḌā kaun hai

    ye agar maiñ nahīñ kaun paanī meñ hai muztarib is tarah

    ye agar nahīñ to kināroñ sūrat gaḌā kaun hai

    ye mirā mas.ala raat din nahīñ koī tinkā nahīñ

    kashtiyoñ vaalī hairān hai ki bhañvar meñ uḌā kaun hai

    donoñ zindagī zindagī dostī nibh rahī hai bahut

    ek machhlī hai aur ek paanī hai ye āñkḌā kaun hai

    koī lazzat bharā koī nudrat bharā is zamīñ se alag

    ye pakā phal nahīñ to daraḳhtoñ se āḳhir jhaḌā kaun hai

    ek bārish ke baa'd ek do būñdoñ vaale samay tarah

    jo mire sang ho rang rang ho vo dhaḌā kaun hai

    be-parat be-sifat jaise bhī haiñ yahāñ aamne sāmne

    jo hai oToñ bharā aur kahīñ par hai partoñ paḌā kaun hai

    koī sayyāl sonā hai ik jis honā batāyā huā

    saare ik jaise haiñ vaise ke vaise is jaḌā kaun hai

    koī sūraj nahīñ jo ufuq chiir kar sāmne aa sake

    koī ghāTī nahīñ kaun utrā yahāñ se chaḌhā kaun hai

    mujh ko ma'lum hai bargah-e-suKHan mein baDa kaun hai

    kis ko niche gira kar kuchal kar usi par khaDa kaun hai

    ye agar main nahin kaun pani mein hai muztarib is tarah

    ye agar tu nahin to kinaron ki surat gaDa kaun hai

    ye mera masala raat din ka nahin koi tinka nahin

    kashtiyon wali hairan hai ki bhanwar mein uDa kaun hai

    donon ki zindagi zindagi dosti nibh rahi hai bahut

    ek machhli hai aur ek pani hai ye aankDa kaun hai

    koi lazzat bhara koi nudrat bhara is zamin se alag

    ye paka phal nahin to daraKHton se aaKHir jhaDa kaun hai

    ek barish ke ba'd ek do bundon wale samay ki tarah

    jo mere sang ho rang hi rang ho wo dhaDa kaun hai

    be-parat be-sifat jaise bhi hain yahan aamne samne

    jo hai oTon bhara aur kahin par hai parton paDa kaun hai

    koi sayyal sona hai ek jis ka hona bataya hua

    sare ek jaise hain waise ke waise is ka jaDa kaun hai

    koi suraj nahin jo ufuq chir kar samne aa sake

    koi ghaTi nahin kaun utra yahan se chaDha kaun hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now