mujhko malum na the pyas ke mani pahle
mujh ko mā'lūm na the pyaas ke mā'nī pahle
chal ke aatā thā mire paas meñ paanī pahle
ab ye 'ālam ke 'adālat meñ chale jaate haiñ
bāñTī jaatī thī virāsat bhī zabānī pahle
ab to bachchoñ ko bhī dekhūñ to javāñ lagte haiñ
baa'd ik 'umr ke aatī thī javānī pahle
kūcha-e-yār se sahrā meñ chale aa.e haiñ
ham ko aatī na thī ye naql-e-makānī pahle
mujh ko ma'lum na the pyas ke ma'ni pahle
chal ke aata tha mere pas mein pani pahle
ab ye 'alam ke 'adalat mein chale jate hain
banTi jati thi wirasat bhi zabani pahle
ab to bachchon ko bhi dekhun to jawan lagte hain
ba'd ek 'umr ke aati thi jawani pahle
kucha-e-yar se sahra mein chale aae hain
hum ko aati na thi ye naql-e-makani pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.