mujhko mazi ka suhana sa zamana yaad hai
mujhko mazi ka suhana sa zamana yaad hai
Fakhruddin Ghauri Faiz
MORE BYFakhruddin Ghauri Faiz
mujh ko maazī kā suhānā sā zamāna yaad hai
dostoñ se rāt-din milnā milānā yaad hai
bāhamī vo guftugū vo qahqahe sargoshiyāñ
mahfiloñ meñ baiTh kar hañsnā hañsānā yaad hai
lāla-o-gul par tavāf-e-ishq kartī titliyāñ
aur ġhunchoñ kā mahaknā lahlahānā yaad hai
nik.hat-e-gul se mo.attar vo bahār-e-gulsitāñ
vo hasīñ andāz se dil kā lubhānā yaad hai
sub.h-dam chalnā nazākat se nasīm-e-sub.h kā
aur chiḌiyoñ kā usī dam chahchahānā yaad hai
vo nishāne par kisī ko tāknā sayyād kā
daf.atan chiḌiyoñ kā mil kar ġhul machānā yaad hai
qatra-e-shabnam kā girnā phuul ke ruḳhsār par
aur bhañvaroñ kā vahāñ kuchh gungunānā yaad hai
pur-kashish ġhunchoñ ke dilkash aks kī vo aarsī
aur vo tāroñ ke jaise jhilmilānā yaad hai
ḳhushbū-o-ḳhush-rang phūloñ se muzayyan gulsitāñ
'faiz' vo bād-e-bahārāñ kā rijhānā yaad hai
mujh ko mazi ka suhana sa zamana yaad hai
doston se raat-din milna milana yaad hai
bahami wo guftugu wo qahqahe sargoshiyan
mahfilon mein baiTh kar hansna hansana yaad hai
lala-o-gul par tawaf-e-ishq karti titliyan
aur ghunchon ka mahakna lahlahana yaad hai
nikhat-e-gul se moattar wo bahaar-e-gulsitan
wo hasin andaz se dil ka lubhana yaad hai
subh-dam chalna nazakat se nasim-e-subh ka
aur chiDiyon ka usi dam chahchahana yaad hai
wo nishane par kisi ko takna sayyaad ka
dafatan chiDiyon ka mil kar ghul machana yaad hai
qatra-e-shabnam ka girna phul ke ruKHsar par
aur bhanwaron ka wahan kuchh gungunana yaad hai
pur-kashish ghunchon ke dilkash aks ki wo aarsi
aur wo taron ke jaise jhilmilana yaad hai
KHushbu-o-KHush-rang phulon se muzayyan gulsitan
'faiz' wo baad-e-bahaaran ka rijhana yaad hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.