mujhko mahsus hone laga hai KHuda pahle jaisa nahin
mujh ko mahsūs hone lagā hai ḳhudā pahle jaisā nahīñ
ye nahīñ mere kahne kā matlab ki jaisā hai achchhā nahīñ
kaise kaise na mab.hūt-kun sher nāzil hue qalb par
terī haibat ke shāyān-e-shāñ ek misra bhī utrā nahīñ
chal fanā ke safar meñ yahī raḳht hamrāh le kar chaleñ
is qadar muḳhtasar zindagī meñ to ġham ḳharch hogā nahīñ
yuuñ mayassar ko ham ne muassir kiyā ḳhud ko behtar kiyā
varna bin tere ham the akele koī aur bhāyā nahīñ
raat bhar ḳhvāb mele se ta.abīreñ ham ne ḳharīdīñ vahāñ
bik rahā thā vahī maal jis ko kabhī pahle dekhā nahīñ
mere ghar se nikaltī to hai ek rah tere ghar kī taraf
us pe pindār-e-hastī magar mere hamrāh chaltā nahīñ
vaqt puurā huā chāhtā hai magar ham adhūre abhī
kho chuke haiñ tujhe aur ḳhud ko abhī ham ne paayā nahīñ
mujh ko mahsus hone laga hai KHuda pahle jaisa nahin
ye nahin mere kahne ka matlab ki jaisa hai achchha nahin
kaise kaise na mabhut-kun sher nazil hue qalb par
teri haibat ke shayan-e-shan ek misra bhi utra nahin
chal fana ke safar mein yahi raKHt hamrah le kar chalen
is qadar muKHtasar zindagi mein to gham KHarch hoga nahin
yun mayassar ko hum ne muassir kiya KHud ko behtar kiya
warna bin tere hum the akele koi aur bhaya nahin
raat bhar KHwab mele se tabiren hum ne KHaridin wahan
bik raha tha wahi mal jis ko kabhi pahle dekha nahin
mere ghar se nikalti to hai ek rah tere ghar ki taraf
us pe pindar-e-hasti magar mere hamrah chalta nahin
waqt pura hua chahta hai magar hum adhure abhi
kho chuke hain tujhe aur KHud ko abhi hum ne paya nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.