mujhko meri shaKHsiyat se ba-KHabar karta hai tu
mujh ko merī shaḳhsiyat se bā-ḳhabar kartā hai tū
lafz-o-mā'nī kis tarah bāham-digar kartā hai tū
munqasim hote haiñ roz-o-shab hamāre sāmne
vaqt zāhir kis tarah ghaḌiyāl par kartā hai tū
jaañ banī hai būd-o-bāsh-e-ādmī ke vāste
ye makāñ tā'mīr sab se peshtar kartā hai tū
ye mirā in'ām kitnā jaan paatā huuñ tujhe
ye mirī taufīq kitnā mo'tabar kartā hai tū
shukr bhī ik panjgāna farz hai bahr-e-adā
kyā mohabbat hai ki us ko ham-safar kartā hai tū
raas aatī hai dam-e-sub.h siidh satroñ kī tujhe
raat bhar ḳhamdār galiyoñ se guzar kartā hai tū
yuuñ bhī us kā nain naqsha bhūlne vaalā nahīñ
aañkh meñ rakh kar use mahfūz-tar kartā hai tū
raat bhī chhatrī hai jo khultī nahīñ puurī tarah
kaifiyat jo raat ke pichhle pahar kartā hai tū
jis tarah alfāz ko maiñ Dhāltā huuñ she'r meñ
jis tarah resham ke kiiḌe ko ḳhabar kartā hai tū
mujh ko meri shaKHsiyat se ba-KHabar karta hai tu
lafz-o-ma'ni kis tarah baham-digar karta hai tu
munqasim hote hain roz-o-shab hamare samne
waqt zahir kis tarah ghaDiyal par karta hai tu
jaan bani hai bud-o-bash-e-admi ke waste
ye makan ta'mir sab se peshtar karta hai tu
ye mera in'am kitna jaan pata hun tujhe
ye meri taufiq kitna mo'tabar karta hai tu
shukr bhi ek panjgana farz hai bahr-e-ada
kya mohabbat hai ki us ko ham-safar karta hai tu
ras aati hai dam-e-subh sidh satron ki tujhe
raat bhar KHamdar galiyon se guzar karta hai tu
yun bhi us ka nain naqsha bhulne wala nahin
aankh mein rakh kar use mahfuz-tar karta hai tu
raat bhi chhatri hai jo khulti nahin puri tarah
kaifiyat jo raat ke pichhle pahar karta hai tu
jis tarah alfaz ko main Dhaalta hun she'r mein
jis tarah resham ke kiDe ko KHabar karta hai tu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.