mujhko mere KHulus ki qimat nahin mili
mujh ko mire ḳhulūs kī qīmat nahīñ milī
ya.anī pasīna bah gayā ujrat nahīñ milī
maiñ muskurā ke dard sabhī Tāltā rahā
kyūñki mirī kisī se tabī.at nahīñ milī
yā-rab koī ḳhatā to nahīñ mujh se ho ga.ī
muddat huī hai koī musībat nahīñ milī
kyoñ dars de rahe ho hameñ dīniyāt par
kyā aap ko kahīñ se bhī rishvat nahīñ milī
yasrib se karbalā to ba-sad ḳhair aa gayā
vāpas madīna aane kī himmat nahīñ milī
sab ashk putliyoñ kī tahoñ meñ utar ga.e
mulzim ko ek lamhe kī mohlat nahīñ milī
be-fā.eda hasīñ ho agar aaj tak tumheñ
āshiq bahut mile haiñ mohabbat nahīñ milī
us ko to chhoḌne kī vajūhāt thiiñ bahut
tum se bhī ḳhair merī tabī.at nahīñ milī
jab se sināñ kī nok pe qur.ān aa gayā
ahl-e-zamīñ ko zinda tilāvat nahīñ milī
'mūsā' ne tuur tak kā safar tai kiyā magar
phir bhī use ḳhud apnī haqīqat nahīñ milī
mujh ko mere KHulus ki qimat nahin mili
yani pasina bah gaya ujrat nahin mili
main muskura ke dard sabhi Talta raha
kyunki meri kisi se tabiat nahin mili
ya-rab koi KHata to nahin mujh se ho gai
muddat hui hai koi musibat nahin mili
kyon dars de rahe ho hamein diniyat par
kya aap ko kahin se bhi rishwat nahin mili
yasrib se karbala to ba-sad KHair aa gaya
wapas madina aane ki himmat nahin mili
sab ashk putliyon ki tahon mein utar gae
mulzim ko ek lamhe ki mohlat nahin mili
be-faeda hasin ho agar aaj tak tumhein
aashiq bahut mile hain mohabbat nahin mili
us ko to chhoDne ki wajuhat thin bahut
tum se bhi KHair meri tabiat nahin mili
jab se sinan ki nok pe quran aa gaya
ahl-e-zamin ko zinda tilawat nahin mili
'musa' ne tur tak ka safar tai kiya magar
phir bhi use KHud apni haqiqat nahin mili
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.