mujhko miTa ke aapne yun muskura diya
mujh ko miTā ke aap ne yuuñ muskurā diyā
jaise mire nasīb ko phir se banā diyā
kahte haiñ kis ko maut kise kahte haiñ hayāt
sab kuchh tirī nigāh ne mujh ko batā diyā
ab dil kī ḳhairiyat kī du'ā māñgnī paḌī
batlāne ko to 'ishq kā matlab batā diyā
qaa.il na hotā aap kī qudrat kā koī bhī
achchhā kiyā jo mujh ko banā ke miTā diyā
dil kī taraf se sabr hameñ aa gayā thā kuchh
bekār zikr chheḌ ke tum ne rulā diyā
'rāfat' yahāñ namāz kā koī nahīñ hai vaqt
jab naam un kā sun liyā sar ko jhukā diyā
mujh ko miTa ke aap ne yun muskura diya
jaise mere nasib ko phir se bana diya
kahte hain kis ko maut kise kahte hain hayat
sab kuchh teri nigah ne mujh ko bata diya
ab dil ki KHairiyat ki du'a mangni paDi
batlane ko to 'ishq ka matlab bata diya
qail na hota aap ki qudrat ka koi bhi
achchha kiya jo mujh ko bana ke miTa diya
dil ki taraf se sabr hamein aa gaya tha kuchh
bekar zikr chheD ke tum ne rula diya
'rafat' yahan namaz ka koi nahin hai waqt
jab nam un ka sun liya sar ko jhuka diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.