mujhko mujh mein kho jaane do
mujh ko mujh meñ kho jaane do
merā mujh ko ho jaane do
in āñkhoñ meñ ik mela hai
is mele meñ kho jaane do
ham ek-dūje ke ho baiThe
ab ho jo bhī ho jaane do
kitnī narm hai miTTī dil kī
biij vafā kā bo jaane do
saath na chhūTe ik-dūje kā
jaañ jaatī hai to jaane do
bāhar nikle kuchh sīkhegā
dil ko mat roko jaane do
jāgtā hai vo in āñkhoñ meñ
yaaro mujh ko so jaane do
'anjanā' āñkheñ baras paḌī haiñ
ġham kā āñchal dho jaane do
mujh ko mujh mein kho jaane do
mera mujh ko ho jaane do
in aankhon mein ek mela hai
is mele mein kho jaane do
hum ek-duje ke ho baiThe
ab ho jo bhi ho jaane do
kitni narm hai miTTi dil ki
bij wafa ka bo jaane do
sath na chhuTe ik-duje ka
jaan jati hai to jaane do
bahar nikle kuchh sikhega
dil ko mat roko jaane do
jagta hai wo in aankhon mein
yaro mujh ko so jaane do
'anjana' aankhen baras paDi hain
gham ka aanchal dho jaane do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.