mujhko mujhse hi juda karti hai
mujh ko mujh se hī judā kartī hai
vo mujhe roz nayā kartī hai
baad meñ rakhtī hai koī marham
pahle vo zaḳhm harā kartī hai
koī to hai jo mire is dil ko
ek ḳhat roz likhā kartī hai
ham vo ujḌī huī bastī jis ke
badduā saath rahā kartī hai
rishta koī bhī ho lekin aurat
apnā har farz adā kartī hai
jab bhī hāthoñ meñ uThātā huuñ qalam
terī tasvīr banā kartī hai
maiñ abhī us ko nahīñ jaan sakā
jo mire haq meñ duā kartī hai
mujh ko mujh se hi juda karti hai
wo mujhe roz naya karti hai
baad mein rakhti hai koi marham
pahle wo zaKHm hara karti hai
koi to hai jo mere is dil ko
ek KHat roz likha karti hai
hum wo ujDi hui basti jis ke
baddua sath raha karti hai
rishta koi bhi ho lekin aurat
apna har farz ada karti hai
jab bhi hathon mein uThata hun qalam
teri taswir bana karti hai
main abhi us ko nahin jaan saka
jo mere haq mein dua karti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.