mujhko nahin dimagh gulon ki shamim ka
mujh ko nahīñ dimāġh guloñ kī shamīm kā
ehsān kyoñ uThā.ūñ qafas meñ nasīm kā
merī nigāh-e-shauq pahuñch jā.egī vahīñ
paayā buland laakh ho tere harīm kā
phailī hai us kī ḳhāna-e-kā'ba meñ raushnī
hai dāġh-e-dil charāġh rah-e-mustaqīm kā
ham bū-e-gul ke saath qafas ko bhī le uḌe
aayā chaman meñ jab koī jhoñkā nasīm kā
ye mere ek ashk-e-nadāmat kā thā asar
sho'la bhaḌak ke bujh gayā nār-e-jahīm kā
mai-ḳhāna-e-azal kā huuñ maiñ mast vo 'zabīh'
piitā huuñ le ke naam ġhafūr-ur-rahīm kā
mujh ko nahin dimagh gulon ki shamim ka
ehsan kyon uThaun qafas mein nasim ka
meri nigah-e-shauq pahunch jaegi wahin
paya buland lakh ho tere harim ka
phaili hai us ki KHana-e-ka'ba mein raushni
hai dagh-e-dil charagh rah-e-mustaqim ka
hum bu-e-gul ke sath qafas ko bhi le uDe
aaya chaman mein jab koi jhonka nasim ka
ye mere ek ashk-e-nadamat ka tha asar
sho'la bhaDak ke bujh gaya nar-e-jahim ka
mai-KHana-e-azal ka hun main mast wo 'zabih'
pita hun le ke nam ghafur-ur-rahim ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.