mujhko shohrat na shan de allah
mujh ko shohrat na shaan de allāh
fan kī daulat de gyaan de allāh
sun ke patthar bhī mom ho jaa.eñ
mere sheroñ meñ jaan de allāh
vaqt ke haath meñ hai tīr-kamāñ
mujh ko ūñchī uḌaan de allāh
zulm kī tez dhuup hai har sū
sabr kā sā.ebān de allāh
ab zamīñ par nahīñ jagah ḳhālī
āsmāñ par makān de allāh
apne ilzām kī karūñ tardīd
mere muñh meñ zabān de allāh
aa gayā ziist se 'rafīq' aajiz
kab talak imtihān de allāh
mujh ko shohrat na shan de allah
fan ki daulat de gyan de allah
sun ke patthar bhi mom ho jaen
mere sheron mein jaan de allah
waqt ke hath mein hai tir-kaman
mujh ko unchi uDan de allah
zulm ki tez dhup hai har su
sabr ka saeban de allah
ab zamin par nahin jagah KHali
aasman par makan de allah
apne ilzam ki karun tardid
mere munh mein zaban de allah
aa gaya zist se 'rafiq' aajiz
kab talak imtihan de allah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.