mujhko taufiq-e-intizar shadid
mujh ko taufīq-e-intizār shadīd
terā va.ada hai lā.eq-e-tajdīd
pursish-e-hāl aur ye tanz-e-latīf
mere zaḳhmoñ pe hai khulī tanqīd
aate rahiye kabhī tasavvur meñ
rahne diije rahī sahī ummīd
sham.eñ bujhtī haiñ dil sulagte haiñ
haa.e kyā chiiz hotī hai ummīd
aap mahfil se chal diye lekin
ban ga.e ham nishāna-e-tanqīd
ruḳhsat ai tīrgī-e-āḳhir-e-shab
jagmagātā hai chehra-e-ḳhurshīd
dard meñ tark-e-zabt kī talqīn
hai vafā kī rivāyatoñ se ba.iid
ḳhuun se bhīgne lagīñ palkeñ
haa.e re terā intizār-e-shadīd
dard-e-dil aur baḌh gayā 'nayyar'
bhīgī palkoñ ne kī hai jab tā.īd
mujh ko taufiq-e-intizar shadid
tera wada hai laeq-e-tajdid
pursish-e-haal aur ye tanz-e-latif
mere zaKHmon pe hai khuli tanqid
aate rahiye kabhi tasawwur mein
rahne dije rahi sahi ummid
shamen bujhti hain dil sulagte hain
hae kya chiz hoti hai ummid
aap mahfil se chal diye lekin
ban gae hum nishana-e-tanqid
ruKHsat ai tirgi-e-aKHir-e-shab
jagmagata hai chehra-e-KHurshid
dard mein tark-e-zabt ki talqin
hai wafa ki riwayaton se baid
KHun se bhigne lagin palken
hae re tera intizar-e-shadid
dard-e-dil aur baDh gaya 'nayyar'
bhigi palkon ne ki hai jab taid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.