mujhko teri yaad dilane lagte hain
mujh ko terī yaad dilāne lagte haiñ
sannāTe bhī shor machāne lagte haiñ
sāgar ho yā dariyā ho yā jhiil koī
ham pyāse haiñ pyaas bujhāne lagte haiñ
sūraj thak kar so jaatā hai bādal meñ
jugnū apnī dhaak zamāne lagte haiñ
titlī ke kuchh rang churāne kī ḳhātir
ham kāġhaz par phuul banāne lagte haiñ
roz manāte hai ham ḳhud apnā mātam
apnī mayyat roz uThāne lagte haiñ
kitne sahme sahme haiñ gul maalī se
kāñToñ ko bhī Dhaal banāne lagte haiñ
mujh ko teri yaad dilane lagte hain
sannaTe bhi shor machane lagte hain
sagar ho ya dariya ho ya jhil koi
hum pyase hain pyas bujhane lagte hain
suraj thak kar so jata hai baadal mein
jugnu apni dhak zamane lagte hain
titli ke kuchh rang churane ki KHatir
hum kaghaz par phul banane lagte hain
roz manate hai hum KHud apna matam
apni mayyat roz uThane lagte hain
kitne sahme sahme hain gul mali se
kanTon ko bhi Dhaal banane lagte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.