mujhko tum se hai zamane se sarokar nahin
mujh ko tum se hai zamāne se sarokār nahīñ
maiñ tumhārā huuñ zamāne kā gunahgār nahīñ
husn kī ḳhū hai jafā ishq kī fitrat hai vafā
maiñ bhī muḳhtār nahīñ aap bhī muḳhtār nahīñ
us gunahgār se iqrār-e-gunah jo kar le
be-niyāzī tirī rahmat kī sazā-vār nahīñ
kaash un logoñ ko nazdīk se dekhe duniyā
jin ko ab tak ye samajhtī hai gunahgār nahīñ
un kī yādoñ ne hameñ chhīn liyā hai ham se
apnī rāhoñ meñ 'nihāl' ab koī dīvār nahīñ
mujh ko tum se hai zamane se sarokar nahin
main tumhaara hun zamane ka gunahgar nahin
husn ki KHu hai jafa ishq ki fitrat hai wafa
main bhi muKHtar nahin aap bhi muKHtar nahin
us gunahgar se iqrar-e-gunah jo kar le
be-niyazi teri rahmat ki saza-war nahin
kash un logon ko nazdik se dekhe duniya
jin ko ab tak ye samajhti hai gunahgar nahin
un ki yaadon ne hamein chhin liya hai hum se
apni rahon mein 'nihaal' ab koi diwar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.