mujhko us se najat bhi na rahi
mujhko us se najat bhi na rahi
Vinod Kumar Tripathi Bashar
MORE BYVinod Kumar Tripathi Bashar
mujh ko us se najāt bhī na rahī
paas ho kar jo paas hī na rahī
ilm thā mujh pe jo guzarnā thā
guftugū meñ vo baat hī na rahī
raat guzrī hai aaj phir tanhā
aaj bhī raat raat sī na rahī
hijr meñ fāsla to lāzim thā
ab to rishte kī aas hī na rahī
rakh ke mujh ko kahīñ vo bhuul gayā
aur merī talāsh bhī na rahī
chal 'bashar' ḳhuuñ kā ghūñT hī pī le
paas meñ ab sharāb bhī na rahī
mujh ko us se najat bhi na rahi
pas ho kar jo pas hi na rahi
ilm tha mujh pe jo guzarna tha
guftugu mein wo baat hi na rahi
raat guzri hai aaj phir tanha
aaj bhi raat raat si na rahi
hijr mein fasla to lazim tha
ab to rishte ki aas hi na rahi
rakh ke mujh ko kahin wo bhul gaya
aur meri talash bhi na rahi
chal 'bashar' KHun ka ghunT hi pi le
pas mein ab sharab bhi na rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.