mujhko virani ke aalam mein nihatta chhoD de
mujhko virani ke aalam mein nihatta chhoD de
Mohammad Mustahsan Jami
MORE BYMohammad Mustahsan Jami
mujh ko vīrānī ke aalam meñ nihattā chhoḌ de
kyā lagā rakkhā hai tū ne ye tamāshā chhoḌ de
is safar meñ mujh ko aisā hī milā hai ham-safar
jo sabaq tū yaad rakkhe par ḳhulāsa chhoḌ de
dil se maiñ tujh ko nikālūñ kis tarah se dostā
kyā ye mumkin hai kabhī ki qais sahrā chhoḌ de
ḳhatm haiñ saare ta'alluq ḳhatm rasm-o-rāh bhī
merā kyā hai ab bhale vo saarī duniyā chhoḌ de
maut par us kī na āñkheñ kis liye hoñ zār-zār
jo javānī ke hasīñ aalam meñ duniyā chhoḌ de
mujh ko virani ke aalam mein nihatta chhoD de
kya laga rakkha hai tu ne ye tamasha chhoD de
is safar mein mujh ko aisa hi mila hai ham-safar
jo sabaq tu yaad rakkhe par KHulasa chhoD de
dil se main tujh ko nikalun kis tarah se dosta
kya ye mumkin hai kabhi ki qais sahra chhoD de
KHatm hain sare ta'alluq KHatm rasm-o-rah bhi
mera kya hai ab bhale wo sari duniya chhoD de
maut par us ki na aankhen kis liye hon zar-zar
jo jawani ke hasin aalam mein duniya chhoD de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.