mujhko zindagani se talKHiyan nahin hotin
mujh ko zindagānī se talḳhiyāñ nahīñ hotīñ
haath meñ agar mere degrēyāñ nahīñ hotīñ
bāġhbāñ ne ḳhud apnā e.atibār kho Daalā
is liye baġhīche meñ titliyāñ nahīñ hotīñ
har ġharīb meñ un ko ḳhāmiyāñ nazar aa.iiñ
bas amiir logoñ meñ ḳhāmiyāñ nahīñ hotīñ
zaḳhm ke liye āḳhir ik zabān kaafī hai
har kisī ke hāthoñ meñ barchhiyāñ nahīñ hotīñ
bad-duāoñ se bach kar aadmī rahe varna
muflisoñ kī aahoñ meñ siskiyāñ nahīñ hotīñ
kyā pata unheñ kaise janm din manāte haiñ
jin gharoñ meñ khāne ko roTiyāñ nahīñ hotīñ
ḳhush-nasīb haiñ jin ko rahmateñ milīñ 'raunaq'
har kisī kī qismat meñ beTiyāñ nahīñ hotīñ
mujh ko zindagani se talKHiyan nahin hotin
hath mein agar mere degreeyan nahin hotin
baghban ne KHud apna eatibar kho Dala
is liye baghiche mein titliyan nahin hotin
har gharib mein un ko KHamiyan nazar aain
bas amir logon mein KHamiyan nahin hotin
zaKHm ke liye aaKHir ek zaban kafi hai
har kisi ke hathon mein barchhiyan nahin hotin
bad-duaon se bach kar aadmi rahe warna
muflison ki aahon mein siskiyan nahin hotin
kya pata unhen kaise janm din manate hain
jin gharon mein khane ko roTiyan nahin hotin
KHush-nasib hain jin ko rahmaten milin 'raunaq'
har kisi ki qismat mein beTiyan nahin hotin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.