mujh mein aa kar Thahar gaya koi
mujh meñ aa kar Thahar gayā koī
husn-e-dil meñ utar gayā koī
kaisī dī ye mujhe kitāb-e-ishq
paḌhte paḌhte bikhar gayā koī
aaj ḳhushbū bhare gulāboñ se
mere dāman ko bhar gayā koī
apnā apnā thā aa.ina sab kā
jaane kis meñ sañvar gayā koī
hāl-e-dil us ne aaj kyā pūchhā
jaise dariyā Thahar gayā koī
le ke kāñdhoñ pe apne phirtī huuñ
mere andar hī mar gayā koī
raushnī bhiik meñ nahīñ miltī
apnī jaañ se guzar gayā koī
ab na hañstī huuñ aur na rotī huuñ
kaisā jaadū sā kar gayā koī
raakh kahtī thī 'sham.a' kī uḌ kar
haa.e vaqt-e-sahar gayā koī
mujh mein aa kar Thahar gaya koi
husn-e-dil mein utar gaya koi
kaisi di ye mujhe kitab-e-ishq
paDhte paDhte bikhar gaya koi
aaj KHushbu bhare gulabon se
mere daman ko bhar gaya koi
apna apna tha aaina sab ka
jaane kis mein sanwar gaya koi
haal-e-dil us ne aaj kya puchha
jaise dariya Thahar gaya koi
le ke kandhon pe apne phirti hun
mere andar hi mar gaya koi
raushni bhik mein nahin milti
apni jaan se guzar gaya koi
ab na hansti hun aur na roti hun
kaisa jadu sa kar gaya koi
rakh kahti thi 'shama' ki uD kar
hae waqt-e-sahar gaya koi
- Book : Mehki Mehki Raat (Pg. 47)
- Author : Syeda Nafis Bano Shama
- Publication : Educational Publishing House (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.