mujh mein bahti hai pagal hawa kaun si
mujh meñ bahtī hai pāgal havā kaun sī
kaun sī hai ye bād-e-sabā kaun sī
tujh ko samjhā thā maiñ manzil-e-justujū
ye bulātī hai mujh ko sadā kaun sī
dil baḌī be-niyāzī se uTh kar chalā
hai tire ġham kī ye intihā kaun sī
maiñ ki lauTī huī apnī āvāz huuñ
ab bikhartī hai mujh meñ sadā kaun sī
dekh kar tujh ko bujhte diye jal uThe
dil ke bujhne kī hai ye adā kaun sī
ek ik ruḳh se zāhir hai ab be-ruḳhī
is meñ hai sirf terī ḳhatā kaun sī
apnī āvāz par aa rahā hai yaqīñ
kaam aa.ī ye mere du'ā kaun sī
mujh ko har ik nazar meñ tamāshā kiyā
jurm kyā thā mirā dī sazā kaun sī
mujh mein bahti hai pagal hawa kaun si
kaun si hai ye baad-e-saba kaun si
tujh ko samjha tha main manzil-e-justuju
ye bulati hai mujh ko sada kaun si
dil baDi be-niyazi se uTh kar chala
hai tere gham ki ye intiha kaun si
main ki lauTi hui apni aawaz hun
ab bikharti hai mujh mein sada kaun si
dekh kar tujh ko bujhte diye jal uThe
dil ke bujhne ki hai ye ada kaun si
ek ek ruKH se zahir hai ab be-ruKHi
is mein hai sirf teri KHata kaun si
apni aawaz par aa raha hai yaqin
kaam aai ye mere du'a kaun si
mujh ko har ek nazar mein tamasha kiya
jurm kya tha mera di saza kaun si
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.