mujh mein maujud hai wo shaKHs zamane ka nahin
mujh meñ maujūd hai vo shaḳhs zamāne kā nahīñ
koī bhī tiir mire paas nishāne kā nahīñ
aap ḳhud dekh leñ timsāl-garī kī sūrat
is kā ḳhāka jo ubhartā hai batāne kā nahīñ
ḳhuun khaul uThtā hai kyoñ daar kī uryānī par
merā kirdār hai aur mere fasāne kā nahīñ
mirā ehsās lagātā hai kachoke mujh ko
zindagī mujh se tirā qarz chukāne kā nahīñ
ye nayā ghaav hai ik dost kā tohfa 'mehdī'
zarb kaarī hai nayā zaḳhm dikhāne kā nahīñ
mujh mein maujud hai wo shaKHs zamane ka nahin
koi bhi tir mere pas nishane ka nahin
aap KHud dekh len timsal-gari ki surat
is ka KHaka jo ubharta hai batane ka nahin
KHun khaul uThta hai kyon dar ki uryani par
mera kirdar hai aur mere fasane ka nahin
mera ehsas lagata hai kachoke mujh ko
zindagi mujh se tera qarz chukane ka nahin
ye naya ghaw hai ek dost ka tohfa 'mehdi'
zarb kari hai naya zaKHm dikhane ka nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.