mujh mein na koi mujh sa raha hai kamal hai
mujh meñ na koī mujh sā rahā hai kamāl hai
bas aa.ine meñ aks milā hai kamāl hai
pahle to mujh ko sirf tumhārī talāsh thī
lekin jo tum se mil ke milā hai kamāl hai
behad ḳhushī hai aur hai be-intihā sukūn
ab dard hai na ġham na gilā hai kamāl hai
sun raaz maiñ batā.ūñ tujhe asl ishq kā
jo tujh meñ is badan ke sivā hai kamāl hai
kahte haiñ har bashar ke hai siine meñ ḳhud ḳhudā
tujh ko yaqīñ nahīñ ki ḳhudā hai kamāl hai
jo aql se badan ko milī thī vo thī havas
jo ruuh ko junūñ se milā hai kamāl hai
hotā agar kuchh aur to hotā anā-parast
us kī razā shikast-e-anā hai kamāl hai
haañ to 'azān' mas.ala kyā hai ye ishq kā
ya.anī tujhe bhī ishq huā hai kamāl hai
mujh mein na koi mujh sa raha hai kamal hai
bas aaine mein aks mila hai kamal hai
pahle to mujh ko sirf tumhaari talash thi
lekin jo tum se mil ke mila hai kamal hai
behad KHushi hai aur hai be-intiha sukun
ab dard hai na gham na gila hai kamal hai
sun raaz main bataun tujhe asl ishq ka
jo tujh mein is badan ke siwa hai kamal hai
kahte hain har bashar ke hai sine mein KHud KHuda
tujh ko yaqin nahin ki KHuda hai kamal hai
jo aql se badan ko mili thi wo thi hawas
jo ruh ko junun se mila hai kamal hai
hota agar kuchh aur to hota ana-parast
us ki raza shikast-e-ana hai kamal hai
han to 'azan' masala kya hai ye ishq ka
yani tujhe bhi ishq hua hai kamal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.