mujh mein tanhai meri aur main tanhai mein
mujh meñ tanhā.ī mirī aur maiñ tanhā.ī meñ
ajnabī ho ga.e sab dasht-e-shanāsā.ī meñ
apne andar hī ra.ūnat kī fazā hai shāyad
log utarte hī nahīñ ruuh kī gahrā.ī meñ
khul gayā ab ki hai ādāb-e-mohabbat baḌī chiiz
ham jo mārūf hue jalva-e-rusvā.ī meñ
ye to tai hai ki mujhe tujh se judā honā hai
misl aañsū huuñ tirī chashm-e-tamannā.ī meñ
aap to hashr uThāne ke liye kahte the
aañkh tak uTh na sakī ālam-e-rusvā.ī meñ
umr kaaTī hai isī ek talab meñ 'āfāq'
ik nazar dekh le mujh ko koī tanhā.ī meñ
mujh mein tanhai meri aur main tanhai mein
ajnabi ho gae sab dasht-e-shanasai mein
apne andar hi raunat ki faza hai shayad
log utarte hi nahin ruh ki gahrai mein
khul gaya ab ki hai aadab-e-mohabbat baDi chiz
hum jo maruf hue jalwa-e-ruswai mein
ye to tai hai ki mujhe tujh se juda hona hai
misl aansu hun teri chashm-e-tamannai mein
aap to hashr uThane ke liye kahte the
aankh tak uTh na saki aalam-e-ruswai mein
umr kaTi hai isi ek talab mein 'afaq'
ek nazar dekh le mujh ko koi tanhai mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.