mujh par un ka itab ho hi gaya
mujh par un kā itaab ho hī gayā
jaan par ik azaab ho hī gayā
dil mirā āḳhir ai ġham-e-jānāñ
tere hāthoñ ḳharāb ho hī gayā
laakh chāhā bachā.e is se ḳhudā
ishq-e-ḳhāna-ḳharāb ho hī gayā
ġhair ne imtihān de hī diyā
be-hayā kāmyāb ho hī gayā
mai-kade se gayā jo masjid ko
mujh ko hāsil savāb ho hī gayā
aap kā aur merā afsāna
shahr meñ intiḳhāb ho hī gayā
āḳhir ik roz vo but-e-kāfir
husn meñ lā-javāb ho hī gayā
us ne kī ġhair kī taraf-dārī
ye bhī roz-e-hisāb ho hī gayā
ġhash hai zāhid sharāb-e-kausar par
us ko shauq-e-sharāb ho hī gayā
dekhnā nāma-bar kī tarrārī
ye bhī hāzir-javāb ho hī gayā
dushmanoñ kī murād bar aa.ī
dostoñ par itaab ho hī gayā
ek do vaqt ke vo milne meñ
ġhair se be-hijāb ho hī gayā
vo na uTThe baġhair jaan liye
un kā maqsad shitāb ho hī gayā
bātoñ bātoñ meñ 'ranj' 'ranj' un se
āḳhir ik din janāb ho hī gayā
mujh par un ka itab ho hi gaya
jaan par ek azab ho hi gaya
dil mera aaKHir ai gham-e-jaanan
tere hathon KHarab ho hi gaya
lakh chaha bachae is se KHuda
ishq-e-KHana-KHarab ho hi gaya
ghair ne imtihan de hi diya
be-haya kaamyab ho hi gaya
mai-kade se gaya jo masjid ko
mujh ko hasil sawab ho hi gaya
aap ka aur mera afsana
shahr mein intiKHab ho hi gaya
aaKHir ek roz wo but-e-kafir
husn mein la-jawab ho hi gaya
us ne ki ghair ki taraf-dari
ye bhi roz-e-hisab ho hi gaya
ghash hai zahid sharab-e-kausar par
us ko shauq-e-sharab ho hi gaya
dekhna nama-bar ki tarrari
ye bhi hazir-jawab ho hi gaya
dushmanon ki murad bar aai
doston par itab ho hi gaya
ek do waqt ke wo milne mein
ghair se be-hijab ho hi gaya
wo na uTThe baghair jaan liye
un ka maqsad shitab ho hi gaya
baaton baaton mein 'ranj' 'ranj' un se
aaKHir ek din janab ho hi gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.