mujh par wafa ki sham ka bujhta sa rang hai
mujh par vafā kī shaam kā bujhtā sā rang hai
maiñ tujh se tang huuñ to ye dil mujh se tang hai
ye jo kamāñ-ba-dast huuñ tīr-o-tafang hai
ḳhud se ḳhafā huuñ maiñ mirī ḳhud se hī jang hai
bātoñ meñ 'ājizī hai to lahja dabang hai
dekho zarā ye kaun hai kaisā malang hai
sajda husain ne kiyā aisā ki aaj tak
yazdāñ kī bārgah meñ 'ibādat bhī dang hai
khultā hai mujh pe aaj vo nā-yāfta badan
raqsāñ ḳhushī se jism kā har ang ang hai
mujh par khule darīcha koī shahr-e-yār kā
is des kī havā mire siine pe tang hai
ḳhud se miTā ke chal ye udāsī ke ḳhāl-o-ḳhad
tūl-e-safar ko chhoḌ ki tū mere sang hai
maiñ ne 'alī ke naam pe māñgā ḳhudā se 'ilm
sad-shukr merī zaat pe haidar kā rang hai
mujh par wafa ki sham ka bujhta sa rang hai
main tujh se tang hun to ye dil mujh se tang hai
ye jo kaman-ba-dast hun tir-o-tafang hai
KHud se KHafa hun main meri KHud se hi jang hai
baaton mein 'ajizi hai to lahja dabang hai
dekho zara ye kaun hai kaisa malang hai
sajda husain ne kiya aisa ki aaj tak
yazdan ki bargah mein 'ibaadat bhi dang hai
khulta hai mujh pe aaj wo na-yafta badan
raqsan KHushi se jism ka har ang ang hai
mujh par khule daricha koi shahr-e-yar ka
is des ki hawa mere sine pe tang hai
KHud se miTa ke chal ye udasi ke KHal-o-KHad
tul-e-safar ko chhoD ki tu mere sang hai
main ne 'ali ke nam pe manga KHuda se 'ilm
sad-shukr meri zat pe haidar ka rang hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.