mujh pe dahliz se phenka hai gul-e-tar kis ne
mujh pe dahliz se phenka hai gul-e-tar kis ne
Aziqur Rahman Sarim
MORE BYAziqur Rahman Sarim
mujh pe dahlīz se pheñkā hai gul-e-tar kis ne
mere allāh jagāyā hai muqaddar kis ne
merī jānib thā rafīqoñ kī rifāqat kā hisār
phir mirī pusht pe ghoñpā hai ye ḳhanjar kis ne
husn-e-aḳhlāq ke paikar the hamāre bachche
un ke hāthoñ meñ thamāyā hai ye patthar kis ne
kitnā pur-kaif hai girdāb kā manzar dekho
dil ke tālāb meñ pheñkā hai ye kankar kis ne
gul-badan zohra-jabīñ tū hī batā de mujh ko
is mohabbat se tarāshā hai ye paikar kis ne
ġhā.ebāna huī hogī koī nusrat 'sārim'
varna tum ko yuuñ banāyā hai suḳhan-var kis ne
mujh pe dahliz se phenka hai gul-e-tar kis ne
mere allah jagaya hai muqaddar kis ne
meri jaanib tha rafiqon ki rifaqat ka hisar
phir meri pusht pe ghonpa hai ye KHanjar kis ne
husn-e-aKHlaq ke paikar the hamare bachche
un ke hathon mein thamaya hai ye patthar kis ne
kitna pur-kaif hai girdab ka manzar dekho
dil ke talab mein phenka hai ye kankar kis ne
gul-badan zohra-jabin tu hi bata de mujh ko
is mohabbat se tarasha hai ye paikar kis ne
ghaebana hui hogi koi nusrat 'sarim'
warna tum ko yun banaya hai suKHan-war kis ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.