mujh pe ehsan kisi ka tha hi nahin
mujh pe ehsāñ kisī kā thā hī nahīñ
sar kahīñ par kabhī jhukā hī nahīñ
zindagī kyā hai jāntā hī nahīñ
pyaar jis ne kabhī kiyā hī nahīñ
tujh se haT kar vujūd 'ālam kā
dil kisī taur māntā hī nahīñ
māl-o-zar ke sabhī haiñ dīvāne
pyaar ko koī pūchhtā hī nahīñ
ruup kyā rang kyā mohabbat kyā
sab hai bekār agar vafā hī nahīñ
us ne jo chāhā bas huā vo hī
apnā chāhā kabhī huā hī nahīñ
haal saarā likhā thā chehre par
us ne chehra mirā paḌhā hī nahīñ
zindagī ab batā tujhe kyā duuñ
vaqt-e-ruḳhsat to kuchh bachā hī nahīñ
Dhal na jaa.e jo shaam tak yaaro
aisā sūraj kabhī ugā hī nahīñ
tujh se bichhḌā to sāz-e-dil ai dost
aisā TuuTā ki phir juḌā hī nahīñ
rah ga.iiñ bas likhī kitāboñ meñ
merī ġhazloñ ko sur milā hī nahīñ
ik ishāre pe jaan de detā
tum ne 'gulshan' se kuchh kahā hī nahīñ
mujh pe ehsan kisi ka tha hi nahin
sar kahin par kabhi jhuka hi nahin
zindagi kya hai jaanta hi nahin
pyar jis ne kabhi kiya hi nahin
tujh se haT kar wujud 'alam ka
dil kisi taur manta hi nahin
mal-o-zar ke sabhi hain diwane
pyar ko koi puchhta hi nahin
rup kya rang kya mohabbat kya
sab hai bekar agar wafa hi nahin
us ne jo chaha bas hua wo hi
apna chaha kabhi hua hi nahin
haal sara likha tha chehre par
us ne chehra mera paDha hi nahin
zindagi ab bata tujhe kya dun
waqt-e-ruKHsat to kuchh bacha hi nahin
Dhal na jae jo sham tak yaro
aisa suraj kabhi uga hi nahin
tujh se bichhDa to saz-e-dil ai dost
aisa TuTa ki phir juDa hi nahin
rah gain bas likhi kitabon mein
meri ghazlon ko sur mila hi nahin
ek ishaare pe jaan de deta
tum ne 'gulshan' se kuchh kaha hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.