mujh pe har ek raaz-e-bahr-o-bar khula
mujh pe har ik rāz-e-bahr-o-bar khulā
dīd-e-pas-manzar se har manzar khulā
jab samajh aaya mujhe lā-taqnatū
kāmrānī kā muqaffal dar khulā
thā adam kī tah meñ hastī kā surāġh
mar ga.e jab uqda mushkil-tar khulā
vus.at-e-gardūñ bhī mujh ko kuchh na thī
jab bulandī par mirā shah-par khulā
hālat-e-dil na chhupā.ī jā sakī
rāz-e-pinhāñ tujh se chashm-e-tar khulā
jab bisāt-e-dil ulaT dī vaqt ne
tab kahīñ jā kar vo fitna-gar khulā
intizār-e-yār 'naġhmī' iztirāb
ham ne darvāza rakhā shab bhar khulā
mujh pe har ek raaz-e-bahr-o-bar khula
did-e-pas-manzar se har manzar khula
jab samajh aaya mujhe la-taqnatu
kaamrani ka muqaffal dar khula
tha adam ki tah mein hasti ka suragh
mar gae jab uqda mushkil-tar khula
wusat-e-gardun bhi mujh ko kuchh na thi
jab bulandi par mera shah-par khula
haalat-e-dil na chhupai ja saki
raaz-e-pinhan tujh se chashm-e-tar khula
jab bisat-e-dil ulaT di waqt ne
tab kahin ja kar wo fitna-gar khula
intizar-e-yar 'naghmi' iztirab
hum ne darwaza rakha shab bhar khula
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.