mujh pe jab se inayat tumhaari hui
mujh pe jab se ināyat tumhārī huī
merī dīvānī duniyā ye saarī huī
vaqt zaa.e.a hī hogā tumhārā yahāñ
zindagī kī ye baazī hai haarī huī
ab kisī se shikāyat nahīñ hai mujhe
dūsrī achchhī pahle se paarī huī
hosh aa.egā tum ko nahīñ ab kabhī
tum pe kaisī ḳhumārī hai taarī huī
naam pahle safhe meñ tumhārā bhī hai
raat ko pahlī sūchī jo jaarī huī
jam ga.e jaise alfāz saare mire
bolne kī hamārī jo baarī huī
mujh pe jab se inayat tumhaari hui
meri diwani duniya ye sari hui
waqt zaea hi hoga tumhaara yahan
zindagi ki ye bazi hai haari hui
ab kisi se shikayat nahin hai mujhe
dusri achchhi pahle se pari hui
hosh aaega tum ko nahin ab kabhi
tum pe kaisi KHumari hai tari hui
nam pahle safhe mein tumhaara bhi hai
raat ko pahli suchi jo jari hui
jam gae jaise alfaz sare mere
bolne ki hamari jo bari hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.