mujh pe ruswai ka ilzam lagaya gaya hai
mujh pe rusvā.ī kā ilzām lagāyā gayā hai
tiir siine pe nahīñ dil pe chalāyā gayā hai
be-sabab to nahīñ yuuñ ham se kināra karnā
tere ehsās meñ lāzim koī aayā gayā hai
terī is sard-nigāhī ke sabab jān-e-hayāt
mere anfās meñ tūfān uThāyā gayā hai
apne ḳhvāboñ kā jahāñ ham se na ban paayā kabhī
aur ik kun se do-‘ālam ko banāyā gayā hai
ḳhatra lāhaq hai to insān ko insān se hai
aur in logoñ ko ashrāf batāyā gayā hai
apnī mahfil se farāmosh na kar paa.e hameñ
pā-ba-jaulāñ hī sahī ham ko bulāyā gayā hai
kahīñ zarre meñ hai 'ālam kahīñ 'ālam zarra
husn-e-ḳhilqat kā 'ajab khel dikhāyā gayā hai
ab taḳhayyul kī masāfat se palaT aao 'zahīr'
hadd-e-imkāñ se bhī aage tumheñ paayā gayā hai
mujh pe ruswai ka ilzam lagaya gaya hai
tir sine pe nahin dil pe chalaya gaya hai
be-sabab to nahin yun hum se kinara karna
tere ehsas mein lazim koi aaya gaya hai
teri is sard-nigahi ke sabab jaan-e-hayat
mere anfas mein tufan uThaya gaya hai
apne KHwabon ka jahan hum se na ban paya kabhi
aur ek kun se do-‘alam ko banaya gaya hai
KHatra lahaq hai to insan ko insan se hai
aur in logon ko ashraf bataya gaya hai
apni mahfil se faramosh na kar pae hamein
pa-ba-jaulan hi sahi hum ko bulaya gaya hai
kahin zarre mein hai 'alam kahin 'alam zarra
husn-e-KHilqat ka 'ajab khel dikhaya gaya hai
ab taKHayyul ki masafat se palaT aao 'zahir'
hadd-e-imkan se bhi aage tumhein paya gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.