mujh pe us ka asar nahin hua hai
mujh pe us kā asar nahīñ huā hai
hijr abhī mo'atabar nahīñ huā hai
hone ko tere baad bhī huā ishq
tere jaisā magar nahīñ huā hai
use bhī mujh se mirī tarah kā ishq
hone vaalā thā par nahīñ huā hai
ye makāñ thā makān hī hai dost
tere aane se ghar nahīñ huā hai
rakh umīd-e-suḳhan ki kuchh bhī to
vaqt se peshtar nahīñ huā hai
dil pe rakh haath hoñT chhoḌ miyāñ
dard idhar hai udhar nahīñ huā hai
vo mire saath chal rahā thā faqat
vo mirā ham-safar nahīñ huā hai
jis nigah meñ sukūñ rakhā gayā hai
us nigah meñ safar nahīñ huā hai
mujh pe us ka asar nahin hua hai
hijr abhi mo'atabar nahin hua hai
hone ko tere baad bhi hua ishq
tere jaisa magar nahin hua hai
use bhi mujh se meri tarah ka ishq
hone wala tha par nahin hua hai
ye makan tha makan hi hai dost
tere aane se ghar nahin hua hai
rakh umid-e-suKHan ki kuchh bhi to
waqt se peshtar nahin hua hai
dil pe rakh hath honT chhoD miyan
dard idhar hai udhar nahin hua hai
wo mere sath chal raha tha faqat
wo mera ham-safar nahin hua hai
jis nigah mein sukun rakha gaya hai
us nigah mein safar nahin hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.