mujh sa gul-barz-o-gul-afkar gulistan mein nahin
mujh sa gul-barz-o-gul-afkar gulistan mein nahin
Ustad Azmat Hussain Khan
MORE BYUstad Azmat Hussain Khan
mujh sā gul-barz-o-gul-afkār gulistāñ meñ nahīñ
phuul hī phuul haiñ kāñTe mire dāmāñ meñ nahīñ
yā batā dījiye ye rang-e-taġhāful kab tak
yā ye kah dījiye kuchh aap ke imkāñ meñ nahīñ
dil pareshān hai māhaul kī ġham-nākī se
ab mire saath kā qaidī koī zindāñ meñ nahīñ
ādamiyyat kī ye tauhīn ye taḳhrīb afsos
aur sab kuchh hai mohabbat dil-e-insāñ meñ nahīñ
aa maiñ samjhā.ūñ tujhe ġhāyat-e-sajda kyā hai
ḳhud kashish sar meñ ho sang-e-dar-e-jānāñ meñ nahīñ
apne maazī pe na ro haal ko rakh pesh-e-nazar
us safīne kī taraf dekh jo tūfāñ meñ nahīñ
ruḳh havāoñ ne is andāz se badlā 'maikash'
koī āsūda-nasheman hī gulistāñ meñ nahīñ
mujh sa gul-barz-o-gul-afkar gulistan mein nahin
phul hi phul hain kanTe mere daman mein nahin
ya bata dijiye ye rang-e-taghaful kab tak
ya ye kah dijiye kuchh aap ke imkan mein nahin
dil pareshan hai mahaul ki gham-naki se
ab mere sath ka qaidi koi zindan mein nahin
aadamiyyat ki ye tauhin ye taKHrib afsos
aur sab kuchh hai mohabbat dil-e-insan mein nahin
aa main samjhaun tujhe ghayat-e-sajda kya hai
KHud kashish sar mein ho sang-e-dar-e-jaanan mein nahin
apne mazi pe na ro haal ko rakh pesh-e-nazar
us safine ki taraf dekh jo tufan mein nahin
ruKH hawaon ne is andaz se badla 'maikash'
koi aasuda-nasheman hi gulistan mein nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.